Monday, February 12, 2007

Guccha

wafa ki tum baat na kar na yaar... wafa bahot rulati he... sach to ye he.....wafa ka naam lete hi... EK BEWAFA YAAD AATI HE ! ! !

mehfil hi na sahi tanhai to milti hai, saath na sahi judai to milti hai, kon kehta hai pyar main kuch nahi milta, pyar na sahi bewafai to milti hai...

mehfil saji thi, jaamo ka tha daur , jamo me kya tha,ye kisne kiya tha gaur, jamo me lahu tha mere armano ka, aur sab keh rahe the ek aur ek aur...

Har jazbat ko zuban nahi milti, har arzu ko dua nahi milti, muskan banaye rakho to duniya hai sath, aansuo ko to ankh me bhi panah nahi milti...

Ek ajnabi se mujhe itna pyaar kyon hai, Inkar karne par chahat ka ikraar kyon hai, Use pana nahi meri taqdeer mein shayad, Phir har mod pe usi ka intezar kyon hai...


unhe chaha par chah na sake, unhe manga par pa na sake, unho ne mangi to bhi judai mangi, aur hum the ke inkaar kar na sake...

Zindagi Zindagi kya karte ho, Zindagi kisko raas aayi hai, Tum kaanto ki baat karte ho , Humne phoolo se choth khaayee hai.

Mat karo

Mat karo vada jo pura na ho,
Mat karo dosti jiska saath na ho,
Yahan pyar kiska pura ho, jiska pehla akshar hi adhura ho.

Fanaa

Khud ki mohabbat fanaa kaun karega,
sab nek banenge to gunah kaun karega

Khud ki mohabbat fanaa kaun karega,
sab nek banenge to gunah kaun karega

Ae khudaa bewafa sanam ko salamat rakhna Warna roz meri maut ki dua kaun karega…

Suraj hoon main...

Suraj hoon main, duniya roshan karta hi rahoonga,
Suraj hoon main, duniya roshan karta hi rahoonga,

Agar dub bhi gaya to bhi sitaron se duniya roshan karta rahoonga.

Ishq ka Inaam

Dard hi sahi, mere Ishq ka Inaam to aaya
Khali hi sahi, par haath me Jaam to aaya

Main hoon Bewafa, sabko bataya usne,
Yun hi sahi uske labon pe mera naam to aaya !!!!!!!!