Wednesday, April 25, 2007

Beetay lamhe

Dard mein bhi yeh lab muskura jaate hain
Beetay lamhe hamein jab bhi yaad aate hain

Aaj bhi jab woh pal mujhko yaad aate hain
Dil se saare gamon ko bhula jaate hain

Mere kaandho pe sirr ko jhukana tera
Mere seene mein khud ko chhupana tera

Aaake meri panaaho mein shaamo sehar
Kaanch ki tarah toot jaana tera

Aaj bhi jab woh manzar nazar aate hain
Dil ki weeraniyo ko meeta jaate hain

Dard mein bhi yeh lab muskara jaate hain
Beetay lamhe hamein jab bhi yaad aate hai

-Asif

Monday, April 23, 2007

Rog ?

Woh to khusboo hai, Hawaon main bikhar jayega,
Masla phool ka hai, Phool kidhar jayega,
Hum to samjhe the ki ek zakham hai bhar jayega,
Kya khaberthi ki rog ye jaan lekar jayega.

Yeh rog main to log aksar kho jaate hai,
Kuch madhosh ho jate hai to kuch bekhauf ho jaate hai,
Jab hosh main aate hai to asliyat ko samne paate hai,
Ek nahi mila to dusre ki talaash main nikal jate hai…

-Asif

Friday, April 20, 2007

Aansoo

Aansuon ko bahut samjhaya tanhai mein aaya karo, Mehfil mein hamara mazakna udaya karo,
Ispar aansoo tadap kar bole, Itne logon mein aapko tanhapaate hain isliye chale aate hain.......

-Asif