Wednesday, April 25, 2007

Beetay lamhe

Dard mein bhi yeh lab muskura jaate hain
Beetay lamhe hamein jab bhi yaad aate hain

Aaj bhi jab woh pal mujhko yaad aate hain
Dil se saare gamon ko bhula jaate hain

Mere kaandho pe sirr ko jhukana tera
Mere seene mein khud ko chhupana tera

Aaake meri panaaho mein shaamo sehar
Kaanch ki tarah toot jaana tera

Aaj bhi jab woh manzar nazar aate hain
Dil ki weeraniyo ko meeta jaate hain

Dard mein bhi yeh lab muskara jaate hain
Beetay lamhe hamein jab bhi yaad aate hai

-Asif

No comments: